be-KHayali mein tera imkan rahne ke liye
be-ḳhayālī meñ tirā imkān rahne ke liye
muflisī meñ aa gayā mehmān rahne ke liye
aap ke armāñ ko dil se khīñch kar bāhar kiyā
ab kahāñ jā.eñge ye shaitān rahne ke liye
shahr ke hālāt se do-chār ho kar aa ga.e
dākuoñ ke beach ab darbān rahne ke liye
din dahāḌe ḳhvāb kyuuñ palkoñ pe marne aa gayā
ye jagah hargiz nahīñ āsān rahne ke liye
itne barsoñ baad phir kyuuñ aaj aisā lag rahā
aa ga.e kamre meñ do anjān rahne ke liye
ishq meñ āñgan darīche DhūñDhnā mat 'shāziya'
aa ga.ī hai jail meñ nādān rahne ke liye
be-KHayali mein tera imkan rahne ke liye
muflisi mein aa gaya mehman rahne ke liye
aap ke arman ko dil se khinch kar bahar kiya
ab kahan jaenge ye shaitan rahne ke liye
shahr ke haalat se do-chaar ho kar aa gae
dakuon ke beach ab darban rahne ke liye
din dahaDe KHwab kyun palkon pe marne aa gaya
ye jagah hargiz nahin aasan rahne ke liye
itne barson baad phir kyun aaj aisa lag raha
aa gae kamre mein do anjaan rahne ke liye
ishq mein aangan dariche DhunDhna mat 'shaziya'
aa gai hai jail mein nadan rahne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.