be-KHudi ab to sab pe chhai hai
Interesting Fact
December 1938
be-ḳhudī ab to sab pe chhā.ī hai
be-tamāshā ye ḳhud-numā.ī hai
ab ye beḌā ḳhudā hī paar lagā.e
dil hai aur ġham kī nā-ḳhudā.ī hai
tujh ko tāb-e-nazar nahīñ vaa.iz
is liye uzr-e-pārsā.ī hai
sabt hai āstāñ pe naqsh-e-sujūd
husn-e-taqdīr jab.ha-sā.ī hai
maañg 'mānī' jazā-e-mahrūmī
hashr hai sab ne daad paa.ī hai
be-KHudi ab to sab pe chhai hai
be-tamasha ye KHud-numai hai
ab ye beDa KHuda hi par lagae
dil hai aur gham ki na-KHudai hai
tujh ko tab-e-nazar nahin waiz
is liye uzr-e-parsai hai
sabt hai aastan pe naqsh-e-sujud
husn-e-taqdir jabha-sai hai
mang 'mani' jaza-e-mahrumi
hashr hai sab ne dad pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.