be-KHudi le uDi hawas kahin
be-ḳhudī le uḌī havās kahīñ
hai koī dil ke ās-pās kahīñ
husn jalva dikhā gayā apnā
ishq baiThā rahā udaas kahīñ
ham ba.iid o qarīb DhūñD chuke
vo kahīñ duur hai na paas kahīñ
sabr hī aa.e ab qarār to kyā
TuuT hī jaa.e dil kī aas kahīñ
'saif' ḳhūn-e-jigar paḌā piinā
aise bujhtī hai dil kī pyaas kahīñ
be-KHudi le uDi hawas kahin
hai koi dil ke aas-pas kahin
husn jalwa dikha gaya apna
ishq baiTha raha udas kahin
hum baid o qarib DhunD chuke
wo kahin dur hai na pas kahin
sabr hi aae ab qarar to kya
TuT hi jae dil ki aas kahin
'saif' KHun-e-jigar paDa pina
aise bujhti hai dil ki pyas kahin
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 118)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.