be-KHudi sath hai maze mein hun
be-ḳhudī saath hai maze meñ huuñ
apnī hī zaat ke nashe meñ huuñ
aks jaise ho koī dariyā meñ
aise paanī ke bulbule meñ huuñ
tū bhale merā e'tibār na kar
zindagī maiñ tire kahe meñ huuñ
koī manzil kabhī nahīñ aa.ī
rāste meñ thā rāste meñ huuñ
merī vus.at ajiib hai 'āzar'
phail kar bhī maiñ dā.ere meñ huuñ
be-KHudi sath hai maze mein hun
apni hi zat ke nashe mein hun
aks jaise ho koi dariya mein
aise pani ke bulbule mein hun
tu bhale mera e'tibar na kar
zindagi main tere kahe mein hun
koi manzil kabhi nahin aai
raste mein tha raste mein hun
meri wusat ajib hai 'azar'
phail kar bhi main daere mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.