be-laus mohabbat ki nazar DhunD raha hun
be-laus mohabbat kī nazar DhūñD rahā huuñ
anjām to zāhir hai magar DhūñD rahā huuñ
ai dekhne vaalo mirī uftād to dekho
maiñ apnī duāoñ meñ asar DhūñD rahā huuñ
jis sajdoñ kī hai arsh-e-barīñ ko bhī tamannā
in sajdoñ ke laa.eq koī dar DhūñD rahā huuñ
ḳhud jis ne mujhe naaz gunāhoñ pe sikhāyā
yārab vahī rahmat kī nazar DhūñD rahā huuñ
be-laus mohabbat ki nazar DhunD raha hun
anjam to zahir hai magar DhunD raha hun
ai dekhne walo meri uftad to dekho
main apni duaon mein asar DhunD raha hun
jis sajdon ki hai arsh-e-barin ko bhi tamanna
in sajdon ke laeq koi dar DhunD raha hun
KHud jis ne mujhe naz gunahon pe sikhaya
yarab wahi rahmat ki nazar DhunD raha hun
- Book : Kufr-o-iman (Pg. 57)
- Author : Hari chand Akhtar
- Publication : Satpaal, kucha Khakan Urdu Bazar- Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.