be-laus-o-rawadar tumhaari hi tarah ho
be-laus-o-ravādār tumhārī hī tarah ho
dushman bhī mire yaar tumhārī hī tarah ho
maiñ haath se phir zahr bhī khā lūñgā tumhāre
gar vo bhī asar-dār tumhārī hī tarah ho
jaañ hañs ke luTā dūñgā magar mujh meñ jo utre
ḳhvāhish hai vo talvār tumhārī hī tarah ho
lo phuul mirī qabr kī ḳhātir to rahe dhyān
har phuul kī mahkār tumhārī hī tarah ho
'afrañg' zamāne meñ zarūrī to nahīñ hai
har shaḳhs kā kirdār tumhārī hī tarah ho
be-laus-o-rawadar tumhaari hi tarah ho
dushman bhi mere yar tumhaari hi tarah ho
main hath se phir zahr bhi kha lunga tumhaare
gar wo bhi asar-dar tumhaari hi tarah ho
jaan hans ke luTa dunga magar mujh mein jo utre
KHwahish hai wo talwar tumhaari hi tarah ho
lo phul meri qabr ki KHatir to rahe dhyan
har phul ki mahkar tumhaari hi tarah ho
'afrang' zamane mein zaruri to nahin hai
har shaKHs ka kirdar tumhaari hi tarah ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.