be-libasi ku-ba-ku aisi na thi
be-libāsī kū-ba-kū aisī na thī
zindagī be-ābrū aisī na thī
is qadar nāzuk na thā us kā mizāj
talḳh merī guftugū aisī na thī
dasht-e-jāñ meñ aisā sannāTā na thā
ye fazā-e-rang-o-bū aisī na thī
lamha lamha bojh ban kar rah gayā
zindagī kī aarzū aisī na thī
rehn karte jā ke ham apnā zamīr
ḳhvāhish-e-jām-o-subū aisī na thī
sho.ala-e-ruḳh se bujhī āñkhoñ kī pyaas
aag meñ paanī kī ḳhū aisī na thī
shahr jaane kyoñ huā apnā harīf
shahr meñ kuchh aabrū aisī na thī
kah rahā huuñ hāl-e-dil aġhyār se
dil ko terī justujū aisī na thī
be-libasi ku-ba-ku aisi na thi
zindagi be-abru aisi na thi
is qadar nazuk na tha us ka mizaj
talKH meri guftugu aisi na thi
dasht-e-jaan mein aisa sannaTa na tha
ye faza-e-rang-o-bu aisi na thi
lamha lamha bojh ban kar rah gaya
zindagi ki aarzu aisi na thi
rehn karte ja ke hum apna zamir
KHwahish-e-jam-o-subu aisi na thi
shoala-e-ruKH se bujhi aankhon ki pyas
aag mein pani ki KHu aisi na thi
shahr jaane kyon hua apna harif
shahr mein kuchh aabru aisi na thi
kah raha hun haal-e-dil aghyar se
dil ko teri justuju aisi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.