be-libasi tabah kar degi
be-libāsī tabāh kar degī
ye udāsī tabāh kar degī
jo gumāñ ko yaqīn meñ badlā
ruuh pyāsī tabāh kar degī
ḳhud-farebī rahe to achchhā hai
ḳhud-shanāsī tabāh kar degī
vāhima vāhima hī rahne do
haq-shanāsī tabāh kar degī
ḳhud ko rakh ke na bhuul jā.ūñ kahīñ
bad-havāsī tabāh kar degī
be-libasi tabah kar degi
ye udasi tabah kar degi
jo guman ko yaqin mein badla
ruh pyasi tabah kar degi
KHud-farebi rahe to achchha hai
KHud-shanasi tabah kar degi
wahima wahima hi rahne do
haq-shanasi tabah kar degi
KHud ko rakh ke na bhul jaun kahin
bad-hawasi tabah kar degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.