be-mani la-hasil raddi sheron ka hai jal udhar
be-ma.anī lā-hāsil raddī sheroñ kā hai jaal udhar
jo chīzeñ be-kār haiñ pyāre un chīzoñ ko Daal udhar
kuchh tajvīzeñ paas karegā vaqt ke hāthoñ ye ijlās
majbūr-o-nādār idhar haiñ āsūda ḳhush-hāl udhar
biich meñ haa.il kar de koī kaash takalluf kī dīvār
udhar hai relā gul-chīnoñ kā aur guloñ meñ kaal idhar
ḳhūn-e-tamannā kī surḳhī se dil kī hikāyat hai rañgīñ
dāman kī taqdīr idhar hai gulshan kā iqbāl udhar
un kī bazm se aane vaale thaam ke dil farmāte haiñ
jaane vaalo udhar na jaao jurm hai arz-e-hāl udhar
jalsa-e-ġham kī tayyārī meñ udhar haiñ jiite jī masrūf
paidā.ish kā jashn manāyā yāroñ ne har saal udhar
ik muddat se dekh rahā huuñ hotā hai har baar yahī
idhar 'sabā' ne ḳhvāb sajāyā vaqt ne badlī chaal udhar
be-mani la-hasil raddi sheron ka hai jal udhar
jo chizen be-kar hain pyare un chizon ko Dal udhar
kuchh tajwizen pas karega waqt ke hathon ye ijlas
majbur-o-nadar idhar hain aasuda KHush-haal udhar
bich mein hail kar de koi kash takalluf ki diwar
udhar hai rela gul-chinon ka aur gulon mein kal idhar
KHun-e-tamanna ki surKHi se dil ki hikayat hai rangin
daman ki taqdir idhar hai gulshan ka iqbaal udhar
un ki bazm se aane wale tham ke dil farmate hain
jaane walo udhar na jao jurm hai arz-e-haal udhar
jalsa-e-gham ki tayyari mein udhar hain jite ji masruf
paidaish ka jashn manaya yaron ne har sal udhar
ek muddat se dekh raha hun hota hai har bar yahi
idhar 'saba' ne KHwab sajaya waqt ne badli chaal udhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.