be-mehr talluq tha juda hona tha ek din
be-mehr ta.alluq thā judā honā thā ik din
jo kuchh bhī mire saath huā honā thā ik din
kuchh ham hī fareboñ meñ giraftār rahe the
us ne to bahar-hāl judā honā thā ik din
ab itnā bhī sangīn mirā jurm nahīñ thā
is qaid se āḳhir to rihā honā thā ik din
yūñhī to kabhī harf-e-shikāyat nahīñ niklā
is dard ne āḳhir to davā honā thā ik din
tum shā.irī karte ho 'yashab' is liye tum ko
ab dard kā tohfa to atā honā thā ik din
be-mehr talluq tha juda hona tha ek din
jo kuchh bhi mere sath hua hona tha ek din
kuchh hum hi farebon mein giraftar rahe the
us ne to bahar-haal juda hona tha ek din
ab itna bhi sangin mera jurm nahin tha
is qaid se aaKHir to riha hona tha ek din
yunhi to kabhi harf-e-shikayat nahin nikla
is dard ne aaKHir to dawa hona tha ek din
tum shairi karte ho 'yashab' is liye tum ko
ab dard ka tohfa to ata hona tha ek din
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 490)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.