be-mehri-e-sanam se dil afgar ho gaya
be-mehrī-e-sanam se dil afgār ho gayā
har lamha zindagī kā sitamgār ho gayā
mullā tirī akaḌ se ye hone lagā gumān
jaise ḳhudā zamīñ pe numūdār ho gayā
sad-haif chārasāzī-e-majnūñ thī be-asar
āsāñ thā kār-e-marg so dushvār ho gayā
maiñ jab se mubtalā huuñ ġham-e-rozgār meñ
mahbūb kā ḳhayāl bhī āzār ho gayā
duniyā to thī azal se asīr-e-sanam-kada
'jā'far' bhī un butoñ kā talabgār ho gayā
be-mehri-e-sanam se dil afgar ho gaya
har lamha zindagi ka sitamgar ho gaya
mulla teri akaD se ye hone laga guman
jaise KHuda zamin pe numudar ho gaya
sad-haif chaarasazi-e-majnun thi be-asar
aasan tha kar-e-marg so dushwar ho gaya
main jab se mubtala hun gham-e-rozgar mein
mahbub ka KHayal bhi aazar ho gaya
duniya to thi azal se asir-e-sanam-kada
'ja'far' bhi un buton ka talabgar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.