Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nam saaton ka safar KHatm ho chala

Saba Naqvi

be-nam saaton ka safar KHatm ho chala

Saba Naqvi

MORE BYSaba Naqvi

    be-nām sā.atoñ safar ḳhatm ho chalā

    lo imtihān-e-fikr-o-nazar ḳhatm ho chalā

    vaañ tīrgī-e-mahfil-e-yārāñ na miT sakī

    yaañ roġhan-e-charāġh-e-hunar ḳhatm ho chalā

    ehsān hai mashiyyat-e-parvardigār

    hañgāma-e-hayāt-e-bashar ḳhatm ho chalā

    mai-ḳhāna-e-hayāt se rindo nikal chalo

    paimāna-e-duā asar ḳhatm ho chalā

    ai jān-e-intizār nayā zaḳhm de mujhe

    lutf-e-bahār-e-dīda-e-tar ḳhatm ho chalā

    dikhlā ke āftāb-e-daraḳhshāñ ik jhalak

    afsāna-e-numūd-e-sahar ḳhatm ho chalā

    us ne ik aur dāġh-e-jigar de diyā 'sabā'

    jab e'tibār-e-soz-e-jigar ḳhatm ho chalā

    be-nam saaton ka safar KHatm ho chala

    lo imtihan-e-fikr-o-nazar KHatm ho chala

    wan tirgi-e-mahfil-e-yaran na miT saki

    yan roghan-e-charagh-e-hunar KHatm ho chala

    ehsan hai mashiyyat-e-parwardigar ka

    hangama-e-hayat-e-bashar KHatm ho chala

    mai-KHana-e-hayat se rindo nikal chalo

    paimana-e-dua ka asar KHatm ho chala

    ai jaan-e-intizar naya zaKHm de mujhe

    lutf-e-bahaar-e-dida-e-tar KHatm ho chala

    dikhla ke aaftab-e-daraKHshan ki ek jhalak

    afsana-e-numud-e-sahar KHatm ho chala

    us ne ek aur dagh-e-jigar de diya 'saba'

    jab e'tibar-e-soz-e-jigar KHatm ho chala

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now