be-naqab unki jafaon ko kiya hai maine
be-naqāb un kī jafāoñ ko kiyā hai maiñ ne
vaqt ke haath meñ ā.īna diyā hai maiñ ne
ḳhuun ḳhud shauq o tamannā kā kiyā hai maiñ ne
apnī tasvīr ko ik rañg diyā hai maiñ ne
ye to sach hai ki nahīñ apne garebāñ kī ḳhabar
terā dāman to ka.ī baar siyā hai maiñ ne
rasan o daar kī taqdīr jagā dī jis ne
terī duniyā meñ vo ailān kiyā hai maiñ ne
harf aane na diyā ishq kī ḳhuddārī par
kaam nākām tamannā se liyā hai maiñ ne
jab kabhī un kī jafāoñ kī shikāyat kī hai
tajziya apnī vafā kā bhī kiyā hai maiñ ne
muddatoñ baad jo is raah se guzrā huuñ 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyā hai maiñ ne
be-naqab un ki jafaon ko kiya hai main ne
waqt ke hath mein aaina diya hai main ne
KHun KHud shauq o tamanna ka kiya hai main ne
apni taswir ko ek rang diya hai main ne
ye to sach hai ki nahin apne gareban ki KHabar
tera daman to kai bar siya hai main ne
rasan o dar ki taqdir jaga di jis ne
teri duniya mein wo ailan kiya hai main ne
harf aane na diya ishq ki KHuddari par
kaam nakaam tamanna se liya hai main ne
jab kabhi un ki jafaon ki shikayat ki hai
tajziya apni wafa ka bhi kiya hai main ne
muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.