be-niyaz-e-gham-e-paiman-e-wafa ho jaana
be-niyāz-e-ġham-e-paimān-e-vafā ho jaanā
tum bhī auroñ kī tarah mujh se judā ho jaanā
maiñ bhī palkoñ pe sajā lūñgā lahū kī būñdeñ
tum bhī pā-basta-e-zanjīr-e-hinā ho jaanā
garche ab qurb kā imkāñ hai bahut kam phir bhī
kahīñ mil jaa.eñ to tasvīr-numā ho jaanā
sirf manzil kī talab ho to kahāñ mumkin hai
dūsroñ ke liye ḳhud ābla-pā ho jaanā
ḳhalq kī sang-zanī merī ḳhatāoñ kā sila
tum to mā'sūm ho tum duur zarā ho jaanā
ab mire vāste tiryāk hai ilhād kā zahr
tum kisī aur pujārī ke ḳhudā ho jaanā
be-niyaz-e-gham-e-paiman-e-wafa ho jaana
tum bhi auron ki tarah mujh se juda ho jaana
main bhi palkon pe saja lunga lahu ki bunden
tum bhi pa-basta-e-zanjir-e-hina ho jaana
garche ab qurb ka imkan hai bahut kam phir bhi
kahin mil jaen to taswir-numa ho jaana
sirf manzil ki talab ho to kahan mumkin hai
dusron ke liye KHud aabla-pa ho jaana
KHalq ki sang-zani meri KHataon ka sila
tum to ma'sum ho tum dur zara ho jaana
ab mere waste tiryak hai ilhad ka zahr
tum kisi aur pujari ke KHuda ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.