Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-niyaz naghma-e-duniya hun main

Waliullah wali

be-niyaz naghma-e-duniya hun main

Waliullah wali

MORE BYWaliullah wali

    be-niyāz naġhma-e-duniyā huuñ maiñ

    apne dil dhaḌkaneñ suntā huuñ maiñ

    vādī-e-qirtās meñ bahtā huuñ maiñ

    ābshār-e-fikr dariyā huuñ maiñ

    dīda-e-be-ḳhvāb anjum tarah

    rut koī ho jāgtā rahtā huuñ maiñ

    aa.ine ke rū-ba-rū hairān huuñ

    jaane kis gum-shuda chehra huuñ maiñ

    sar-bulandī kyuuñ na ho mujh ko 'atā

    apne sar maañ du'ā rakhtā huuñ maiñ

    jaane kyuuñ ḳhud bhī nigāhoñ tarah

    un rāhoñ meñ bichhā jaatā huuñ maiñ

    vo mujhe bahlā rahe haiñ yuuñ 'valī'

    jaise koī nā-samajh bachcha huuñ maiñ

    be-niyaz naghma-e-duniya hun main

    apne dil ki dhaDkanen sunta hun main

    wadi-e-qirtas mein bahta hun main

    aabshaar-e-fikr ka dariya hun main

    dida-e-be-KHwab anjum ki tarah

    rut koi ho jagta rahta hun main

    aaine ke ru-ba-ru hairan hun

    jaane kis ka gum-shuda chehra hun main

    sar-bulandi kyun na ho mujh ko 'ata

    apne sar man ki du'a rakhta hun main

    jaane kyun KHud bhi nigahon ki tarah

    un ki rahon mein bichha jata hun main

    wo mujhe bahla rahe hain yun 'wali'

    jaise koi na-samajh bachcha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now