be-numud dard ki numaish kyon
be-numūd dard kī numā.ish kyoñ
dil se kartī hai aañkh sāzish kyoñ
ġham jo likkhā huā hai chehre pe
koī paḌh le to us se ranjish kyoñ
vo jo har zāviye se dil meñ hai
us ko phir dekhne kī ḳhvāhish kyoñ
ḳhvāb-e-tāza jagā.e āñkhoñ meñ
ham pe mausam kī ye navāzish kyoñ
sab ko apne hī kaam the us se
koī kartā mirī sifārish kyoñ
be-numud dard ki numaish kyon
dil se karti hai aankh sazish kyon
gham jo likkha hua hai chehre pe
koi paDh le to us se ranjish kyon
wo jo har zawiye se dil mein hai
us ko phir dekhne ki KHwahish kyon
KHwab-e-taza jagae aankhon mein
hum pe mausam ki ye nawazish kyon
sab ko apne hi kaam the us se
koi karta meri sifarish kyon
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 292)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.