be-qarari ko be-qarari hai
be-qarārī ko be-qarārī hai
kis ke ghar jā.ūñ kis kī baarī hai
saarī duniyā kā dil dukhāne kī
jān-e-man terī zimmedārī hai
dil phir apnā unhīñ ko de baiThe
maut kā intizām jaarī hai
hukm hote hī maiñ uchhaltā huuñ
saarī duniyā mirī madārī hai
maiñ kisī ko nazar nahīñ aatā
kis ne merī nazar utārī hai
chīḳh jo na.iiñ abhī sunā.ī dī
sun lo 'maġhlūb' vo tumhārī hai
be-qarari ko be-qarari hai
kis ke ghar jaun kis ki bari hai
sari duniya ka dil dukhane ki
jaan-e-man teri zimmedari hai
dil phir apna unhin ko de baiThe
maut ka intizam jari hai
hukm hote hi main uchhalta hun
sari duniya meri madari hai
main kisi ko nazar nahin aata
kis ne meri nazar utari hai
chiKH jo nain abhi sunai di
sun lo 'maghlub' wo tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.