be-qarari qarar hai mujhko
be-qarārī qarār hai mujh ko
dil ke zaḳhmoñ se pyaar hai mujh ko
in dinoñ hālat-e-junūñ meñ huuñ
mujh pe ab iḳhtiyār hai mujh ko
dekh vāraftagī-e-hālat-e-hāl
apnī vahshat se pyaar hai mujh ko
ab tirī yaad bhī nahīñ aatī
kyoñ tirā intizār hai mujh ko
ai mirī jaan tū ne sochā hai
tujh pe kyoñ e'tibār hai mujh ko
maiñ ne vo baat jo kahī hī nahīñ
vo bahut nāgavār hai mujh ko
ek kashtī kī hai talab 'rāhī'
ishq dariyā ke paar hai mujh ko
be-qarari qarar hai mujh ko
dil ke zaKHmon se pyar hai mujh ko
in dinon haalat-e-junun mein hun
mujh pe ab iKHtiyar hai mujh ko
dekh waraftagi-e-haalat-e-haal
apni wahshat se pyar hai mujh ko
ab teri yaad bhi nahin aati
kyon tera intizar hai mujh ko
ai meri jaan tu ne socha hai
tujh pe kyon e'tibar hai mujh ko
main ne wo baat jo kahi hi nahin
wo bahut nagawar hai mujh ko
ek kashti ki hai talab 'rahi'
ishq dariya ke par hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.