be-qararon ko kab qarar aaya
be-qarāroñ ko kab qarār aayā
maut bhī aa.ī par na yaar aayā
jab huā jism ḳhaak yaar aayā
gard uTThī to shahsavār aayā
luT gayā kārvān-e-sabr-o-qarār
qāsid-e-ashk ashk-bār aayā
ḳhas se jaise charāġh jaltā hai
daaġh ke kaam jism-e-zār aayā
gar koī ḳhāksār ḳhaak huā
ḳhaak uḌāne mirā ġhubār aayā
kāsa-e-charḳh vāzhgūñ hī rahā
jā ke mujh sā na bāda-ḳhvār aayā
zulf se sair rū-e-rañgīñ kī
daam meñ mausam-e-bahār aayā
loTiye misl-e-māhī-e-be-āb
ki sar-e-teġh-e-ābdār aayā
us ne sau baar haal pūchhā 'arsh'
shikva lab par na ek baar aayā
be-qararon ko kab qarar aaya
maut bhi aai par na yar aaya
jab hua jism KHak yar aaya
gard uTThi to shahsawar aaya
luT gaya karwan-e-sabr-o-qarar
qasid-e-ashk ashk-bar aaya
KHas se jaise charagh jalta hai
dagh ke kaam jism-e-zar aaya
gar koi KHaksar KHak hua
KHak uDane mera ghubar aaya
kasa-e-charKH wazhgun hi raha
ja ke mujh sa na baada-KHwar aaya
zulf se sair ru-e-rangin ki
dam mein mausam-e-bahaar aaya
loTiye misl-e-mahi-e-be-ab
ki sar-e-tegh-e-abdar aaya
us ne sau bar haal puchha 'arsh'
shikwa lab par na ek bar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.