be-ruKHi hi be-ruKHi hai har taraf
be-ruḳhī hī be-ruḳhī hai har taraf
bikhrī bikhrī zindagī hai har taraf
dushmanī hī dushmanī hai har taraf
aag nafrat kī lagī hai har taraf
kis ne ye jiinā ajīran kar diyā
ḳhauf dahshat sansanī hai har taraf
koī shai bhī ab nahīñ hai mashriqī
rang sab kā maġhribī hai har taraf
baat jo dil meñ hai kah sakte nahīñ
kaisī apnī bebasī hai har taraf
aadmī meñ ādmiyyat tak nahīñ
baat achchhī kaun sī hai har taraf
jis meñ 'robīna' nahīñ hai fikr-o-fan
kyā kaheñ kyā shā'irī hai har taraf
be-ruKHi hi be-ruKHi hai har taraf
bikhri bikhri zindagi hai har taraf
dushmani hi dushmani hai har taraf
aag nafrat ki lagi hai har taraf
kis ne ye jina ajiran kar diya
KHauf dahshat sansani hai har taraf
koi shai bhi ab nahin hai mashriqi
rang sab ka maghribi hai har taraf
baat jo dil mein hai kah sakte nahin
kaisi apni bebasi hai har taraf
aadmi mein aadmiyyat tak nahin
baat achchhi kaun si hai har taraf
jis mein 'robina' nahin hai fikr-o-fan
kya kahen kya sha'iri hai har taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.