be-sabaat subh sham aur mera wajud
be-sabāt sub.h shaam aur mirā vajūd
yahī azaab hai mudām aur mirā vajūd
koī chiiz kam hai mujh meñ bas yahī ḳhayāl
saarā jahān jaise ḳhaam aur mirā vajūd
us kā husn-e-be-amāñ aur mirā huzūr
ek teġh-e-be-niyām aur mirā vajūd
guftugū hī guftugū aur mirā sukūt
ek harf-e-be-kalām aur mirā vajūd
merī hayāt ā.īna-e-hijr-e-mustaqil
ik safar hai be-qayām aur mirā vajūd
maiñ abhī talak visāl-e-āb-o-gil ke biich
jaise marg-e-be-maqām aur mirā vajūd
sho.ala-e-shauq-e-nā-rasā aur ye qaid-e-jism
ik hisār-e-sub.h-o-shām aur mirā vajūd
be-sabaat subh sham aur mera wajud
yahi azab hai mudam aur mera wajud
koi chiz kam hai mujh mein bas yahi KHayal
sara jahan jaise KHam aur mera wajud
us ka husn-e-be-aman aur mera huzur
ek tegh-e-be-niyam aur mera wajud
guftugu hi guftugu aur mera sukut
ek harf-e-be-kalam aur mera wajud
meri hayat aaina-e-hijr-e-mustaqil
ek safar hai be-qayam aur mera wajud
main abhi talak visal-e-ab-o-gil ke bich
jaise marg-e-be-maqam aur mera wajud
shoala-e-shauq-e-na-rasa aur ye qaid-e-jism
ek hisar-e-subh-o-sham aur mera wajud
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 153)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.