be-sabab aaj aankh pur-nam hai
be-sabab aaj aañkh pur-nam hai
jaane kis baat kā mujhe ġham hai
phir koī ehtimām-e-mātam hai
mere siine meñ dard kam kam hai
ye ta.alluq hī mujh ko kyā kam hai
aap ke āstāñ pe sar ḳham hai
un ke kyuuñ ho ke rah ga.e 'kausar'
bazm-e-ahbāb ham se barham hai
be-sabab aaj aankh pur-nam hai
jaane kis baat ka mujhe gham hai
phir koi ehtimam-e-matam hai
mere sine mein dard kam kam hai
ye talluq hi mujh ko kya kam hai
aap ke aastan pe sar KHam hai
un ke kyun ho ke rah gae 'kausar'
bazm-e-ahbab hum se barham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.