be-sabab bhi raqib hote hain
be-sabab bhī raqīb hote haiñ
log kitne ajiib hote haiñ
tū jinheñ ḳhud bhī yaad kartā hai
aise bhī ḳhush-nasīb hote haiñ
un ke jitnā qarīb jaatā huuñ
vo bhī itne qarīb hote haiñ
jo tujhe yaad karte rahte haiñ
vo mire bhī habīb hote haiñ
kuchh tujhe bhī samajh nahīñ paate
aise bhī bad-nasīb hote haiñ
sab aisī nahīñ milā karte
kuchh to ḳhālī salīb hote haiñ
jab bhī yādeñ tirī satātī haiñ
jaage jaage nasīb hote haiñ
be-sabab bhi raqib hote hain
log kitne ajib hote hain
tu jinhen KHud bhi yaad karta hai
aise bhi KHush-nasib hote hain
un ke jitna qarib jata hun
wo bhi itne qarib hote hain
jo tujhe yaad karte rahte hain
wo mere bhi habib hote hain
kuchh tujhe bhi samajh nahin pate
aise bhi bad-nasib hote hain
sab aisi nahin mila karte
kuchh to KHali salib hote hain
jab bhi yaaden teri satati hain
jage jage nasib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.