be-sabab humse judai na karo
be-sabab ham se judā.ī na karo
mujh se āshiq se burā.ī na karo
ḳhāksārāñ ko na kariye pāmāl
jag meñ fir.auñ sī ḳhudā.ī na karo
be-gunāhāñ kuuñ na kar Daalo qatl
aah kuuñ tīr-e-havā.ī na karo
ek dil tum se nahīñ hai raazī
jag meñ har ik suuñ burā.ī na karo
mahv hai 'fā.ez'-e-shaidā tum par
us se har lahza bakhā.ī na karo
be-sabab hum se judai na karo
mujh se aashiq se burai na karo
KHaksaran ko na kariye pamal
jag mein firaun si KHudai na karo
be-gunahan kun na kar Dalo qatl
aah kun tir-e-hawai na karo
ek dil tum se nahin hai raazi
jag mein har ek sun burai na karo
mahw hai 'faez'-e-shaida tum par
us se har lahza bakhai na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.