be-sabab humse wo bezar nazar aate hain
be-sabab ham se vo bezār nazar aate haiñ
dukh ke har chaar sū ambār nazar aate haiñ
kal talak jin ko thī ham se nisbat hamdam
aaj ġhairoñ ke talabgār nazar aate haiñ
jab bhī tārīḳh ke aurāq palaT kar dekhūñ
azmat-e-rafta ke mīnār nazar aate haiñ
kis ko fursat hai yahāñ dūsroñ ke ġham bāñTe
log ḳhushiyoñ ke ḳharīdār nazar aate haiñ
gard meñ kārvāñ kī aaj mujhe mub.ham se
duur manzil ke kuchh āsār nazar aate haiñ
ḳhair kī jin se kisī ko na thī koī ummīd
vo bhī ab mā.il-e-sār nazar aate haiñ
āḳhirash guzrī 'sabīha' ye añdherī shab bhī
ḳhair se sub.h ke āsār nazar aate haiñ
be-sabab hum se wo bezar nazar aate hain
dukh ke har chaar su ambar nazar aate hain
kal talak jin ko thi hum se nisbat hamdam
aaj ghairon ke talabgar nazar aate hain
jab bhi tariKH ke auraq palaT kar dekhun
azmat-e-rafta ke minar nazar aate hain
kis ko fursat hai yahan dusron ke gham banTe
log KHushiyon ke KHaridar nazar aate hain
gard mein karwan ki aaj mujhe mubham se
dur manzil ke kuchh aasar nazar aate hain
KHair ki jin se kisi ko na thi koi ummid
wo bhi ab mail-e-sar nazar aate hain
aaKHirash guzri 'sabiha' ye andheri shab bhi
KHair se subh ke aasar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.