be-sabab kyun tabah hota hai
be-sabab kyuuñ tabāh hotā hai
fikr-e-fardā gunāh hotā hai
tujh ko kyā dūsroñ ke aiboñ se
kyuuñ abas rū-siyāh hotā hai
mujh ko tanhā na chhoḌ kar jaao
ye ḳhalā be-panāh hotā hai
zak usī se bahut pahuñchtī hai
jo mirā ḳhair-ḳhvāh hotā hai
us ghaḌī us se maañg lo sab kuchh
jab 'adam' bādshāh hotā hai
be-sabab kyun tabah hota hai
fikr-e-farda gunah hota hai
tujh ko kya dusron ke aibon se
kyun abas ru-siyah hota hai
mujh ko tanha na chhoD kar jao
ye KHala be-panah hota hai
zak usi se bahut pahunchti hai
jo mera KHair-KHwah hota hai
us ghaDi us se mang lo sab kuchh
jab 'adam' baadshah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.