be-sabab muskurā rahā hai chāñd
koī sāzish chhupā rahā hai chāñd
jaane kis kī galī se niklā hai
jheñpā jheñpā sā aa rahā hai chāñd
kitnā ġhāza lagāyā hai muñh par
dhuul hī dhuul uḌā rahā hai chāñd
kaisā baiThā hai chhup ke pattoñ meñ
bāġhbāñ ko satā rahā hai chāñd
sīdhā-sāda ufuq se niklā thā
sar pe ab chaḌhtā jā rahā hai chāñd
chhū ke dekhā to garm thā māthā
dhuup meñ kheltā rahā hai chāñd
be-sabab muskura raha hai chand
koi sazish chhupa raha hai chand
jaane kis ki gali se nikla hai
jhenpa jhenpa sa aa raha hai chand
kitna ghaza lagaya hai munh par
dhul hi dhul uDa raha hai chand
kaisa baiTha hai chhup ke patton mein
baghban ko sata raha hai chand
sidha-sada ufuq se nikla tha
sar pe ab chaDhta ja raha hai chand
chhu ke dekha to garm tha matha
dhup mein khelta raha hai chand
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 207)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.