be-sabab tujhse har ek baat pe nalan hona
be-sabab tujh se har ik baat pe nālāñ honā
apnā pesha hī jo Thahrā hai pareshāñ honā
itnī rusvā.iyāñ sah lī haiñ to ik ye bhī sahī
ham ko manzūr he minnat-kash-e-darbāñ honā
tujh meñ kyā baat hai jo mujh meñ nahīñ hai zālim
haañ magar tere liye merā pareshāñ honā
haa.e us bazm ke ādāb jahāñ lāzim ho
kabhī hairāñ nazar aanā kabhī hairāñ honā
umr bhar ke liye kaafī hai vahī ek jhalak
tum ko lāzim nahīñ har shai se numāyāñ honā
ḳhāmushī merī kahīñ aur pashemāñ na kare
tum agar ho bhī to ḳhalvat meñ pashemāñ honā
log dekheñ to na jaane use kyā samjheñge
aa.ina dekhnā terā mirā hairāñ honā
jaise sāhil se chhuḌā letī haiñ maujeñ dāman
kitnā saada hai tirā mujh se gurezāñ honā
haiñ tere ruḳh pe vo taqdīs ke partav ki tujhe
zeb detā hī nahīñ dushman-e-īmāñ honā
kyā ḳhabar un ko ki hai kitnā ajiib ai 'ālī'
ik garāñ shai kā kisī ke liye arzāñ honā
be-sabab tujh se har ek baat pe nalan hona
apna pesha hi jo Thahra hai pareshan hona
itni ruswaiyan sah li hain to ek ye bhi sahi
hum ko manzur he minnat-kash-e-darban hona
tujh mein kya baat hai jo mujh mein nahin hai zalim
han magar tere liye mera pareshan hona
hae us bazm ke aadab jahan lazim ho
kabhi hairan nazar aana kabhi hairan hona
umr bhar ke liye kafi hai wahi ek jhalak
tum ko lazim nahin har shai se numayan hona
KHamushi meri kahin aur pasheman na kare
tum agar ho bhi to KHalwat mein pasheman hona
log dekhen to na jaane use kya samjhenge
aaina dekhna tera mera hairan hona
jaise sahil se chhuDa leti hain maujen daman
kitna sada hai tera mujh se gurezan hona
hain tere ruKH pe wo taqdis ke partaw ki tujhe
zeb deta hi nahin dushman-e-iman hona
kya KHabar un ko ki hai kitna ajib ai 'ali'
ek garan shai ka kisi ke liye arzan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.