be-sabab wo na mere qatl ki tadbir mein tha
be-sabab vo na mire qatl kī tadbīr meñ thā
us ke hāthoñ hī se miTnā mirī taqdīr meñ thā
muntazir thā tirā dīvāna-e-gesū jis raat
ālam-e-chashm har ik halqa-e-zanjīr meñ thā
jumbish-e-lab kā gumāñ hotā thā āshiq ko tire
is qadar lutf-e-ḳhamoshī tirī tasvīr meñ thā
o kamāñ-abrū jo ik tiir lagāyā to kyā
ishtiyāq is se zyāda dil-e-naḳhchīr meñ thā
murġh-e-bismil sā taḌaptā thā har ik murġh-e-sahar
asar-e-tīr mire nāla-e-shab-gīr meñ thā
be-sabab wo na mere qatl ki tadbir mein tha
us ke hathon hi se miTna meri taqdir mein tha
muntazir tha tera diwana-e-gesu jis raat
aalam-e-chashm har ek halqa-e-zanjir mein tha
jumbish-e-lab ka guman hota tha aashiq ko tere
is qadar lutf-e-KHamoshi teri taswir mein tha
o kaman-abru jo ek tir lagaya to kya
ishtiyaq is se zyaada dil-e-naKHchir mein tha
murgh-e-bismil sa taDapta tha har ek murgh-e-sahar
asar-e-tir mere nala-e-shab-gir mein tha
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.