be-sahaara na chhoD jao hamein
be-sahārā na chhoḌ jaao hameñ
zindagī bhar na āzmāo hameñ
ham hī kyoñ DhūñDte raheñ tum ko
dasht-e-imkāñ se DhūñD laao hameñ
vaqt chup-chāp bah na jaa.e kahīñ
vaqt kī lai pe gungunāo hameñ
shaam se dil meñ ik udāsī hai
shām-e-va.ada na yaad aao hameñ
phir bhalā kaun yaad rakhtā hai
fī-zamāna gale lagāo hameñ
be-sahaara na chhoD jao hamein
zindagi bhar na aazmao hamein
hum hi kyon DhunDte rahen tum ko
dasht-e-imkan se DhunD lao hamein
waqt chup-chap bah na jae kahin
waqt ki lai pe gungunao hamein
sham se dil mein ek udasi hai
sham-e-wada na yaad aao hamein
phir bhala kaun yaad rakhta hai
fi-zamana gale lagao hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.