be-sar-o-saman the lekin itna andaza na tha
be-sar-o-sāmāñ the lekin itnā andāza na thā
is se pahle shahr ke luTne kā āvāza na thā
zarf-e-dil dekhā to āñkheñ karb se pathrā ga.iiñ
ḳhuun rone kī tamanna kā ye ḳhamyāza na thā
aa mire pahlū meñ aa ai raunaq-e-bazm-e-ḳhayāl
lazzat-e-ruḳhsār-o-lab kā ab tak andāza na thā
ham ne dekhā hai ḳhizāñ meñ bhī tirī aamad ke baa'd
kaun sā gul thā ki gulshan meñ tar-o-tāza na thā
ham qasīda-ḳhvāñ nahīñ us husn ke lekin 'farāz'
itnā kahte haiñ rahīn-e-surma-o-ġhāza na thā
be-sar-o-saman the lekin itna andaza na tha
is se pahle shahr ke luTne ka aawaza na tha
zarf-e-dil dekha to aankhen karb se pathra gain
KHun rone ki tamanna ka ye KHamyaza na tha
aa mere pahlu mein aa ai raunaq-e-bazm-e-KHayal
lazzat-e-ruKHsar-o-lab ka ab tak andaza na tha
hum ne dekha hai KHizan mein bhi teri aamad ke ba'd
kaun sa gul tha ki gulshan mein tar-o-taza na tha
hum qasida-KHwan nahin us husn ke lekin 'faraaz'
itna kahte hain rahin-e-surma-o-ghaza na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.