be-shak apne zebai par usko naz rahe
be-shak apne zebā.ī par us ko naaz rahe
lekin shaam savere yaad aane se baaz rahe
ek muqaddas hastī ne ik roz duā ye kī
rab kī rahmat se duniyā meñ tū mumtāz rahe
qatra qatra duurī de kar jis ne maar diyā
apnoñ jaise us dushman kī umr darāz rahe
us kā dhyān kabhī nā bhūle dil meñ ho har pal
soch usī ko sochtī jaa.e narm gudāz rahe
ek qadam ke saath pe us kī laraz ga.ī āvāz
saat janam tak ham jis jhūTe kī āvāz rahe
duniyā us ke saath ho lekin us ke dil meñ ham
saare jag meñ ham ko hāsil ye e.ajāz rahe
us ne dekhā ḳhush ho ke ā.īna toḌ diyā
barsoñ apne aap se lekin ham nārāz rahe
kabhī nahīñ aayā vo kah kar us ko jāntī huuñ
jhūTī aas ke us ke paas hamesh javāz rahe
be-shak apne zebai par us ko naz rahe
lekin sham sawere yaad aane se baz rahe
ek muqaddas hasti ne ek roz dua ye ki
rab ki rahmat se duniya mein tu mumtaz rahe
qatra qatra duri de kar jis ne mar diya
apnon jaise us dushman ki umr daraaz rahe
us ka dhyan kabhi na bhule dil mein ho har pal
soch usi ko sochti jae narm gudaz rahe
ek qadam ke sath pe us ki laraz gai aawaz
sat janam tak hum jis jhuTe ki aawaz rahe
duniya us ke sath ho lekin us ke dil mein hum
sare jag mein hum ko hasil ye eajaz rahe
us ne dekha KHush ho ke aaina toD diya
barson apne aap se lekin hum naraaz rahe
kabhi nahin aaya wo kah kar us ko jaanti hun
jhuTi aas ke us ke pas hamesh jawaz rahe
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.