be-shak idhar na dekhna tum bich bich mein
be-shak idhar na dekhnā tum biich biich meñ
par dil hī dil meñ sochnā tum biich biich meñ
kār-e-jahān tum se zarūrī nahīñ mujhe
bas yaar mujh ko Toknā tum biich biich meñ
āsān ho hī jā.egā bātoñ meñ ye safar
jo dil meñ aa.e pūchhnā tum biich biich meñ
hālāñki sar se paañv talak bā-vafā huuñ maiñ
badlāv kab ho dekhnā tum biich biich meñ
ab āñkheñ kah rahī haiñ ki bīnā.ī kho rahī
do-chār baar lauTnā tum biich biich meñ
be-shak idhar na dekhna tum bich bich mein
par dil hi dil mein sochna tum bich bich mein
kar-e-jahan tum se zaruri nahin mujhe
bas yar mujh ko Tokna tum bich bich mein
aasan ho hi jaega baaton mein ye safar
jo dil mein aae puchhna tum bich bich mein
haalanki sar se panw talak ba-wafa hun main
badlaw kab ho dekhna tum bich bich mein
ab aankhen kah rahi hain ki binai kho rahi
do-chaar bar lauTna tum bich bich mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.