be-tab pas shama ke parwana aa gaya
be-tāb paas sham.a ke parvāna aa gayā
kyā baat hai ki hosh meñ dīvāna aa gayā
saaqī kī bārgāh meñ tauba huī qubūl
ḳhud DhūñDhtā huā mujhe mai-ḳhāna aa gayā
sajdoñ kā mere naaz uThāne ke vāste
ka.abe ke sāmne dar-e-jānāna aa gayā
dāman ko mere dekh ke hasrat ke haath meñ
yaad un ko apnā lutf-e-karīmāna aa gayā
mujh ko mire savāl pe baḳhshā hai do-jahāñ
ab e'tibār-e-tarz-e-faqīrāna aa gayā
thī shaiḳh-o-barhaman kī mai-o-añgbīñ pe bahas
itne meñ baḌh ke 'kaifī'-e-dīvāna aa gayā
be-tab pas shama ke parwana aa gaya
kya baat hai ki hosh mein diwana aa gaya
saqi ki bargah mein tauba hui qubul
KHud DhunDhta hua mujhe mai-KHana aa gaya
sajdon ka mere naz uThane ke waste
kabe ke samne dar-e-jaanana aa gaya
daman ko mere dekh ke hasrat ke hath mein
yaad un ko apna lutf-e-karimana aa gaya
mujh ko mere sawal pe baKHsha hai do-jahan
ab e'tibar-e-tarz-e-faqirana aa gaya
thi shaiKH-o-barhaman ki mai-o-angbin pe bahas
itne mein baDh ke 'kaifi'-e-diwana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.