be-tahasha use socha jae
be-tahāsha use sochā jaa.e
zaḳhm ko aur kuredā jaa.e
jaane vaale ko chale jaanā hai
phir bhī rasman hī pukārā jaa.e
ham ne maanā ki kabhī pī hī nahīñ
phir bhī ḳhvāhish ki sambhālā jaa.e
aaj tanhā nahīñ jaagā jaatā
raat ko saath jagāyā jaa.e
harf likhnā hī nahīñ kaafī hai
aao ab harf miTāyā jaa.e
be-tahasha use socha jae
zaKHm ko aur kureda jae
jaane wale ko chale jaana hai
phir bhi rasman hi pukara jae
hum ne mana ki kabhi pi hi nahin
phir bhi KHwahish ki sambhaala jae
aaj tanha nahin jaga jata
raat ko sath jagaya jae
harf likhna hi nahin kafi hai
aao ab harf miTaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.