be-tarah dil KHushi se Darta hai
be-tarah dil ḳhushī se Dartā hai
kaun itnā kisī se Dartā hai
uf re nairañgiyāñ zamāne kī
aadmī aadmī se Dartā hai
dushmanī hī na ho ma.aal us kā
dil tirī dostī se Dartā hai
ye bhī hai ik ta.alluq-e-ḳhātir
kaun varna kisī se Dartā hai
manzileñ gard ban ga.iiñ phir bhī
rahnumā rahbarī se Dartā hai
ishq farmā-ravā-e-haft-aflāk
aap kī barhamī se Dartā hai
jab se vo be-vafā hue 'sāhir'
dil mirā har kisī se Dartā hai
be-tarah dil KHushi se Darta hai
kaun itna kisi se Darta hai
uf re nairangiyan zamane ki
aadmi aadmi se Darta hai
dushmani hi na ho maal us ka
dil teri dosti se Darta hai
ye bhi hai ek talluq-e-KHatir
kaun warna kisi se Darta hai
manzilen gard ban gain phir bhi
rahnuma rahbari se Darta hai
ishq farma-rawa-e-haft-aflak
aap ki barhami se Darta hai
jab se wo be-wafa hue 'sahir'
dil mera har kisi se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.