be-wafa go mile na tu mujhko
be-vafā go mile na tū mujh ko
bas hai terī ye aarzū mujh ko
gardish-e-charḳh se nahīñ pardā
sar pe chahiye vo ḳhāk-e-kū mujh ko
zāhidā hai mirī namāz niyāz
ḳhūn-e-dil ronā hai vazū mujh ko
nāsehā jā ki zikr-e-ishq sivā
ḳhush nahīñ aatī guftugū mujh ko
ban rahā huuñ maiñ ishq kā mazlūm
na satā ai raqīb tū mujh ko
tujh se chāhūñ huuñ nāz-bardārī
ho ga.ī kuchh tirī sī ḳhū mujh ko
sohbat-e-ġhair se huā makrūh
baiThnā tere rū-ba-rū mujh ko
tujh se mahrūm yuuñ rahūñ sad-haif
kyā kyā dil meñ thiiñ aarzū mujh ko
yaar harjā.ī ne kiyā 'hasrat'
dar-ba-dar aur kū-ba-kū mujh ko
be-wafa go mile na tu mujh ko
bas hai teri ye aarzu mujh ko
gardish-e-charKH se nahin parda
sar pe chahiye wo KHak-e-ku mujh ko
zahida hai meri namaz niyaz
KHun-e-dil rona hai wazu mujh ko
naseha ja ki zikr-e-ishq siwa
KHush nahin aati guftugu mujh ko
ban raha hun main ishq ka mazlum
na sata ai raqib tu mujh ko
tujh se chahun hun naz-bardari
ho gai kuchh teri si KHu mujh ko
sohbat-e-ghair se hua makruh
baiThna tere ru-ba-ru mujh ko
tujh se mahrum yun rahun sad-haif
kya kya dil mein thin aarzu mujh ko
yar harjai ne kiya 'hasrat'
dar-ba-dar aur ku-ba-ku mujh ko
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.