be-wajah aap hamein kash na yun Thukraate
be-wajah aap hamein kash na yun Thukraate
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
be-vajah aap hameñ kaash na yuuñ Thukrāte
aazmā lete yā dastūr badalte jaate
laakh chāhā ki ho pahchān koī apnī bhī
kaash ham aap ke hī naam se jaane jaate
ye bhī ehsāñ na kiyā aap ne rūTho ham se
ik bahāna to milā hotā manāne aate
ḳhuub gahrī jo lagī choT to ham ne jaanā
vaqt lagtā hai kisī dard ko jaate jaate
be-wajah aap hamein kash na yun Thukraate
aazma lete ya dastur badalte jate
lakh chaha ki ho pahchan koi apni bhi
kash hum aap ke hi nam se jaane jate
ye bhi ehsan na kiya aap ne ruTho hum se
ek bahana to mila hota manane aate
KHub gahri jo lagi choT to hum ne jaana
waqt lagta hai kisi dard ko jate jate
- Book : Ehsaas (Pg. 28)
- Author : Jatinder Vir Yakhmi
- Publication : Flate No. 11,4B Culptro State J.V.L.R. Andheri (Est) MUmbai-400 093 (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.