be-wajh nain hai aaina har bar dekhna
be-vaj.h na.iiñ hai aa.ina har baar dekhnā
koī dam ko phūltā hai ye gulzār dekhnā
nargis kī tarah ḳhaak meñ merī ugeñ haiñ chashm
Tuk aan ke ye hasrat-e-dīdār dekhnā
khīñche to teġh hai haram-e-dil ke said par
ai 'ishq par bhalā tū mujhe maar dekhnā
hai naqs-e-jān diid tirā par yahī hai dhun
jī jaao yaar ho mujhe yak-bār dekhnā
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamīñ pa 'arsh
aage qadam na rakhiyo tū zinhār dekhnā
pūchhe ḳhudā sabab jo mire ishtiyāq kā
merī zabāñ se ho yahī iz.hār dekhnā
har naqsh-e-pā pe taḌpe hai yaaro har ek dil
Tuk vāste ḳhudā ke ye raftār dekhnā
kartā to hai tū aan ke 'saudā' se iḳhtilāt
koī lahr aa ga.ī to mire yaar dekhnā
tujh bin 'ajab ma'āsh hai 'saudā' kā in dinoñ
tū bhī Tuk us ko jā ke sitamgār dekhnā
ne harf o ne hikāyat o ne she'r o ne suḳhan
ne sair-e-bāġh o ne gul-o-gulzār dekhnā
ḳhāmosh apne kalba-e-ahzāñ meñ roz o shab
tanhā paḌe hue dar-o-dīvār dekhnā
yā jā ke us galī meñ jahāñ thā tirā guzar
le sub.h tā-ba-shām ka.ī baar dekhnā
taskīn-e-dil na is meñ bhī paa.ī to bahr-e-shaġhl
paḌhnā ye she'r gar kabhū ash’ār dekhnā
kahte the ham na dekh sakeñ roz-e-hijr ko
par jo ḳhudā dikhā.e so nā-chār dekhnā
be-wajh nain hai aaina har bar dekhna
koi dam ko phulta hai ye gulzar dekhna
nargis ki tarah KHak mein meri ugen hain chashm
Tuk aan ke ye hasrat-e-didar dekhna
khinche to tegh hai haram-e-dil ke said par
ai 'ishq par bhala tu mujhe mar dekhna
hai naqs-e-jaan did tera par yahi hai dhun
ji jao yar ho mujhe yak-bar dekhna
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamin pa 'arsh
aage qadam na rakhiyo tu zinhaar dekhna
puchhe KHuda sabab jo mere ishtiyaq ka
meri zaban se ho yahi izhaar dekhna
har naqsh-e-pa pe taDpe hai yaro har ek dil
Tuk waste KHuda ke ye raftar dekhna
karta to hai tu aan ke 'sauda' se iKHtilat
koi lahr aa gai to mere yar dekhna
tujh bin 'ajab ma'ash hai 'sauda' ka in dinon
tu bhi Tuk us ko ja ke sitamgar dekhna
ne harf o ne hikayat o ne she'r o ne suKHan
ne sair-e-bagh o ne gul-o-gulzar dekhna
KHamosh apne kalba-e-ahzan mein roz o shab
tanha paDe hue dar-o-diwar dekhna
ya ja ke us gali mein jahan tha tera guzar
le subh ta-ba-sham kai bar dekhna
taskin-e-dil na is mein bhi pai to bahr-e-shaghl
paDhna ye she'r gar kabhu ash’ar dekhna
kahte the hum na dekh saken roz-e-hijr ko
par jo KHuda dikhae so na-chaar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.