be-watan hun watan mein aakar bhi
be-vatan huuñ vatan meñ aakar bhī
jal rahā huuñ chaman meñ aakar bhī
merī hastī kā pūchhte kyā ho
jaan be-jāñ hai tan meñ aakar bhī
paa.ī nā-qadrī-e-adab aksar
ham ne bazm-e-suḳhan meñ aakar bhī
rakkhā tīr-e-sitam mirī jānib
us ne dīvāna-pan meñ aakar bhī
bad-numā.ī na chhup sakī dil kī
ḳhushnumā pairahan meñ aakar bhī
be-sukūñ hī rahe sadā kī tarah
ham tirī anjuman meñ aakar bhī
haif paa.ī nahīñ amaañ 'hātif'
shahr vāloñ ne ban meñ aakar bhī
be-watan hun watan mein aakar bhi
jal raha hun chaman mein aakar bhi
meri hasti ka puchhte kya ho
jaan be-jaan hai tan mein aakar bhi
pai na-qadri-e-adab aksar
hum ne bazm-e-suKHan mein aakar bhi
rakkha tir-e-sitam meri jaanib
us ne diwana-pan mein aakar bhi
bad-numai na chhup saki dil ki
KHushnuma pairahan mein aakar bhi
be-sukun hi rahe sada ki tarah
hum teri anjuman mein aakar bhi
haif pai nahin aman 'hatif'
shahr walon ne ban mein aakar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.