be-zaban kaliyon ka dil maila kiya
be-zabāñ kaliyoñ kā dil mailā kiyā
ai havā-e-sub.h tū ne kyā kiyā
kī atā har gul ko ik rañgīñ qabā
bū-e-gul ko shahr meñ rusvā kiyā
kyā tujhe vo sub.h-e-kāzib yaad hai
raushnī se tū ne jab parda kiyā
be-ḳhayālī meñ sitāre chun liye
jagmagātī raat ko andhā kiyā
jaate jaate shaam yak-dam hans paḌī
ik sitāra der tak royā kiyā
ruuTh kar ghar se gayā tū kitnī baar
kyā dar-o-dīvār ne pīchhā kiyā
apnī uryānī chhupāne ke liye
tū ne saare shahr ko nañgā kiyā
be-zaban kaliyon ka dil maila kiya
ai hawa-e-subh tu ne kya kiya
ki ata har gul ko ek rangin qaba
bu-e-gul ko shahr mein ruswa kiya
kya tujhe wo subh-e-kazib yaad hai
raushni se tu ne jab parda kiya
be-KHayali mein sitare chun liye
jagmagati raat ko andha kiya
jate jate sham yak-dam hans paDi
ek sitara der tak roya kiya
ruTh kar ghar se gaya tu kitni bar
kya dar-o-diwar ne pichha kiya
apni uryani chhupane ke liye
tu ne sare shahr ko nanga kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.