be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai
be-zabānī bā.is-e-tash.hīr-e-ulfat ho ga.ī
zabt kā had se guzarnā thā ki shohrat ho ga.ī
muskurā kar aap ne tai kar diyā ik marhala
ab mujhe kuchh aap se kahne kī jur.at ho ga.ī
luT ga.e go ham mohabbat meñ magar ye to huā
pyaar karnā har kisī se apnī aadat ho ga.ī
sochtā huuñ vo na ab dil se utar jaa.e kahīñ
is qadar tanhā.iyoñ se dil ko raġhbat ho ga.ī
'bazm' is dil kā burā ho chhin ga.e sab iḳhtiyār
bandagī bechārgī ab apnī qismat ho ga.ī
be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai
zabt ka had se guzarna tha ki shohrat ho gai
muskura kar aap ne tai kar diya ek marhala
ab mujhe kuchh aap se kahne ki jurat ho gai
luT gae go hum mohabbat mein magar ye to hua
pyar karna har kisi se apni aadat ho gai
sochta hun wo na ab dil se utar jae kahin
is qadar tanhaiyon se dil ko raghbat ho gai
'bazm' is dil ka bura ho chhin gae sab iKHtiyar
bandagi bechaargi ab apni qismat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.