bebasi ki dhup hai ghamgin kya
bebasī kī dhuup hai ġhamgīn kyā
phir rahā hai dar-ba-dar miskīn kyā
hañs rahā huuñ bebasī kī dhuup meñ
ho rahī hai zauq kī taskīn kyā
aa rahī haiñ dastakoñ par dastakeñ
zindagī phir ho ga.ī sañgīn kyā
aañkh hañste hañste kyuuñ rone lagī
har ḳhushī kartī hai bas ġhamgīn kyā
ashk 'ādil' pī rahā huuñ āj-kal
ho gayā hai zā.iqa namkīn kyā
bebasi ki dhup hai ghamgin kya
phir raha hai dar-ba-dar miskin kya
hans raha hun bebasi ki dhup mein
ho rahi hai zauq ki taskin kya
aa rahi hain dastakon par dastaken
zindagi phir ho gai sangin kya
aankh hanste hanste kyun rone lagi
har KHushi karti hai bas ghamgin kya
ashk 'adil' pi raha hun aaj-kal
ho gaya hai zaiqa namkin kya
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 41)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.