bechain jo rakhti hai tumhein chah kisu ki
bechain jo rakhtī hai tumheñ chaah kisū kī
shāyad ki huī kārgar ab aah kisū kī
us chashm kā ġhamza jo kare qatl-e-do-ālam
goshe ko nigah ke nahīñ parvāh kisū kī
zulfoñ kī siyāhī meñ kuchh ik daam the apne
qismat ki huī raat vo tanḳhvāh kisū kī
kyā masraf-e-bejā se falak ko hai sarokār
vo shai kisū ko de jo ho dil-ḳhvāh kisū kī
duniyā se guzarnā hī ajab kuchh hai ki jis meñ
koī na kabhū rok sake raah kisū kī
chhīne se ġham-e-ishq shakebā.ī o ārām
ai dil ye paḌī luTtī hai buñgāh kisū kī
bechain jo rakhti hai tumhein chah kisu ki
shayad ki hui kargar ab aah kisu ki
us chashm ka ghamza jo kare qatl-e-do-alam
goshe ko nigah ke nahin parwah kisu ki
zulfon ki siyahi mein kuchh ek dam the apne
qismat ki hui raat wo tanKHwah kisu ki
kya masraf-e-beja se falak ko hai sarokar
wo shai kisu ko de jo ho dil-KHwah kisu ki
duniya se guzarna hi ajab kuchh hai ki jis mein
koi na kabhu rok sake rah kisu ki
chhine se gham-e-ishq shakebai o aaram
ai dil ye paDi luTti hai bungah kisu ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.