bechain wo rahta hai mere pas se ja ke
bechain vo rahtā hai mire paas se jā ke
dekhā hai ka.ī baar mujhe us ne bhulā ke
aane se tire rañg badal degī tamannā
alfāz badal jā.eñge ai dost duā ke
ye barq ye gul aur chamakte hue taare
sab jalve haiñ ye aap ke hañsne kī adā ke
maiñ ne bhī batāyā ki mirā hausla kyā hai
tevar to bahut tez the tūfān-e-balā ke
zāhir hue jab rāz-e-mohabbat to ḳhalish kyā
jaatā hai to jaa.e koī dāman ko chhuḌā ke
ham quvvat-e-parvāz meñ saanī nahīñ rakhte
toḌe haiñ jo dar band the ham ne hī ḳhalā ke
ye maan liyā ham to haiñ nākām-e-mohabbat
tum aur kisī se bhī dikhāo to nibhā ke
bebāk nigāhoñ meñ mirī aisī kashish thī
vo bhuul ga.e aaj to andāz hayā ke
in āñkhoñ meñ aañsū the mirā haal jo dekhā
manzil ne qadam chuum liye aabla pā ke
vo roz 'suhail' ek na.ī chheḌ kare hai
vo yūñhī bigāḌegā mirī baat banā ke
bechain wo rahta hai mere pas se ja ke
dekha hai kai bar mujhe us ne bhula ke
aane se tere rang badal degi tamanna
alfaz badal jaenge ai dost dua ke
ye barq ye gul aur chamakte hue tare
sab jalwe hain ye aap ke hansne ki ada ke
main ne bhi bataya ki mera hausla kya hai
tewar to bahut tez the tufan-e-bala ke
zahir hue jab raaz-e-mohabbat to KHalish kya
jata hai to jae koi daman ko chhuDa ke
hum quwwat-e-parwaz mein sani nahin rakhte
toDe hain jo dar band the hum ne hi KHala ke
ye man liya hum to hain nakaam-e-mohabbat
tum aur kisi se bhi dikhao to nibha ke
bebak nigahon mein meri aisi kashish thi
wo bhul gae aaj to andaz haya ke
in aankhon mein aansu the mera haal jo dekha
manzil ne qadam chum liye aabla pa ke
wo roz 'suhail' ek nai chheD kare hai
wo yunhi bigaDega meri baat bana ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.