bedad hai nai to sitam bhi nae nae
bedād hai na.ī to sitam bhī na.e na.e
khāte haiñ zaḳhm sahte haiñ ġham bhī na.e na.e
but-gar na.e na.e haiñ qalam bhī na.e na.e
haiñ but-shikan na.e to sanam bhī na.e na.e
Dar hai ki kho na jaa.eñ zamāne kī bhiiḌ meñ
tum jo na.e na.e ho to ham bhī na.e na.e
kyoñ ho ga.ī vatan kī fazā is qadar ḳharāb
na.are na.e na.e haiñ alam bhī na.e na.e
dāman pe un ke daaġh hamāre lahū ke haiñ
fitne uThā rahe haiñ qadam bhī na.e na.e
jiinā nahīñ to maut se ham kyoñ laḌeñ 'habīb'
milte haiñ ab tarīq-e-adam bhī na.e na.e
bedad hai nai to sitam bhi nae nae
khate hain zaKHm sahte hain gham bhi nae nae
but-gar nae nae hain qalam bhi nae nae
hain but-shikan nae to sanam bhi nae nae
Dar hai ki kho na jaen zamane ki bhiD mein
tum jo nae nae ho to hum bhi nae nae
kyon ho gai watan ki faza is qadar KHarab
nare nae nae hain alam bhi nae nae
daman pe un ke dagh hamare lahu ke hain
fitne uTha rahe hain qadam bhi nae nae
jina nahin to maut se hum kyon laDen 'habib'
milte hain ab tariq-e-adam bhi nae nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.