bedar karun kis se main izhaar-e-mohabbat
'bedār' karūñ kis se maiñ iz.hār-e-mohabbat
bas dil hai mirā mahram-e-asrār-e-mohabbat
har bul-havas us jins kā hotā haigā ḳhvāhāñ
jāñ-bāḳhtā-ḳhvāñ hoveñ ḳharīdār-e-mohabbat
ai shaiḳh qadam rakhiyo na is raah meñ zinhār
hai sub.ha-shikan rishta-e-zunnār-e-mohabbat
karte haiñ abas mujh dil-e-bīmār kā darmāñ
vābasta mirī jaañ se haiñ āzār-e-mohabbat
bach jā.ūñ is āzār se 'bedār' gar ab kī
hūñgā na kabhī phir maiñ giraftār-e-mohabbat
'bedar' karun kis se main izhaar-e-mohabbat
bas dil hai mera mahram-e-asrar-e-mohabbat
har bul-hawas us jins ka hota haiga KHwahan
jaan-baKHta-KHwan howen KHaridar-e-mohabbat
ai shaiKH qadam rakhiyo na is rah mein zinhaar
hai subha-shikan rishta-e-zunnar-e-mohabbat
karte hain abas mujh dil-e-bimar ka darman
wabasta meri jaan se hain aazar-e-mohabbat
bach jaun is aazar se 'bedar' gar ab ki
hunga na kabhi phir main giraftar-e-mohabbat
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.