beDi nahin pairon mein kalai mein kaDa hai
beḌī nahīñ pairoñ meñ kalā.ī meñ kaḌā hai
qaidī ye tire ishq meñ masrūr baḌā hai
hai jis kī saḳhāvat kā baḌā charchā jahāñ meñ
kaasa liye hāthoñ meñ tire dar pe khaḌā hai
mujh par bhī koī rañg chaḌhā.e to maiñ jānūñ
ajmer ke vaalī kā sunā shohra baḌā hai
ab tujh pe hai dhutkār de yā chashm-e-karam kar
chaukhaT pe tirī koī zamāne se paḌā hai
beDi nahin pairon mein kalai mein kaDa hai
qaidi ye tere ishq mein masrur baDa hai
hai jis ki saKHawat ka baDa charcha jahan mein
kasa liye hathon mein tere dar pe khaDa hai
mujh par bhi koi rang chaDhae to main jaanun
ajmer ke wali ka suna shohra baDa hai
ab tujh pe hai dhutkar de ya chashm-e-karam kar
chaukhaT pe teri koi zamane se paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.