beDiyan apne ai asir na dekh
beḌiyāñ apne ai asiir na dekh
haath uThā haath kī lakīr na dekh
aql rakhtā hai to samajh mafhūm
sirf alfāz-e-be-nazīr na dekh
ghar se niklā hai jab duā dete
kaun muflis hai yā amiir na dekh
koī ḳhūbī nazar na aa.egī
merī tasvīr aib-gīr na dekh
kaun sun kar sadā na aa.egā
band darvāza ai faqīr na dekh
azm kā tiir le ke aage baḌh
haath meñ kyā hai us ke viir na dekh
donoñ jānib 'alīm' khaa.ī hai
saath hai kaun rāhgīr na dekh
beDiyan apne ai asir na dekh
hath uTha hath ki lakir na dekh
aql rakhta hai to samajh mafhum
sirf alfaz-e-be-nazir na dekh
ghar se nikla hai jab dua dete
kaun muflis hai ya amir na dekh
koi KHubi nazar na aaegi
meri taswir aib-gir na dekh
kaun sun kar sada na aaega
band darwaza ai faqir na dekh
azm ka tir le ke aage baDh
hath mein kya hai us ke wir na dekh
donon jaanib 'alim' khai hai
sath hai kaun rahgir na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.