beDiyan Dal de aazad hui jati hai
beḌiyāñ Daal de āzād huī jaatī hai
zindagī ishq meñ barbād huī jaatī hai
dil kī bastī meñ koī aur na aayā mālik
terī duniyā hai jo ābād huī jaatī hai
ishq ke khel meñ farhād huā hai shīrīñ
koī shīrīñ hai jo farhād huī jaatī hai
kho chukā huuñ tujhe par aaj bhī terī ḳhātir
haath uTh jaate haiñ fariyād huī jaatī hai
din-ba-din rog ye baḌhtā hī chalā jaatā hai
din-ba-din tū merī buniyād huī jaatī hai
beDiyan Dal de aazad hui jati hai
zindagi ishq mein barbaad hui jati hai
dil ki basti mein koi aur na aaya malik
teri duniya hai jo aabaad hui jati hai
ishq ke khel mein farhad hua hai shirin
koi shirin hai jo farhad hui jati hai
kho chuka hun tujhe par aaj bhi teri KHatir
hath uTh jate hain fariyaad hui jati hai
din-ba-din rog ye baDhta hi chala jata hai
din-ba-din tu meri buniyaad hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.